Funny Jokes: आईपीएल पर बने ये जोक्स पढ़कर हो जाएंगे लोटपोट, पढ़िए धमाकेदार चुटकुले

0

Namaste dosto! IPL 2023 ka intezaar sabhi cricket lovers ke liye ek dam se badh gaya hai. Yeh mausam toh sirf cricket ka hi hai, aur agar usme thodi si masti ho jaaye toh kya baat hai! Toh aaj hum aapke liye laaye hai IPL 2023 ke sabse naye aur taza tareen jokes. Aap is blog mein padhenge kuch aise hi hinglish mein likhe hue masti bhare jokes, jo aapko cricket ke alawa aur bhi ek nayi duniya mein le jayenge. Toh chaliye, shuru karte hai aur is IPL season ko aur bhi entertaining banaate hai!


" After Watching IPL Cricket 

Guard - Gentleman Match Is Over Now 

Why You Are Watching Pavallion 

Pappu - Actually I Am Waiting For Highlights"


Amir Khan -  Bhaya Humara Ek Sawal Tha 

E Sasura Cricket Ma Kahte Hai Catch Pakro 

Catch Pakro Jabki Catch Or Pakro Ka 

Ek Hi Matlab Hota Hai ....Bada Confusion Hai E Gola Par "


Jin ladkiyon ko cricket mein interest hota hai na,

 unse koi ladka set nahi hota

 kyunki woh har ladke mein 

Virat Kohli dhoondhti hai.


Yamraj: Bol balak, teri aakhri ichha kya hai?

Balak: Mumbai Indians ko pehla match jeetate hue dekhna chahta hoon.

Yamraj: Chatur balak, amar hona chahta hai.


IPL ki wajah se ab single logo ka do mahina

 aaram se guzar jayega.

Wo gaana suna hai – Apna time ayega.

IPL Funny Status Jokes

Agar ab IPL match chalu se khatam hone tak remote ko kisi ne haath bhi lagaya

Toh samjho Bahubali ki talwar ko haath lagaya.


Ladki: Score kitna hua hai?

Ladka: I Love You 2.

Ladki: Kya bakwaas kar rahe ho.

Ladka: Pagli, 143 par 2…

Indian IPL hai boss kuch bhi ho sakta hai.


IPL mein CSK ke boller se pachho -

Dukh kya hota hai?

Wicket baller leta hai aur commentary karne wale bolte hai -

Dhoni ki ranneeti kaam aayi,

Dhoni jaante hai wicket kaise lena h 

IPL mein satta lagane walon par jokes

Pehle main bahut gareeb tha…

Phir ek dost ke kehne par

IPL mein satta lagaya

Aajkal gurudware mein khakar guzaara karta hu.


Barbaad hone ke liye zaroori nahi ki aap ishq hi karein.

Aap IPL mein satta bhi laga sakte hai.

"Janhit mein jaari"


" IPL  April Ke Month Mai Isliye Shuru Hota Hai 

Log Gehu Bechkar Satta Laga Sake

IPL – RCB Team Jokes in Hindi

Yamraj – Bol balak, teri aakhiri ichha kya hai?

Balak – RCB ko jeetate hue dekhna chahta hu.

Yamraj – Chatur balak, amar hona chahta hai…!


Waise toh aarakshan ke paksh mein bilkul nahi hu.

Lekin IPL mein RCB ko milna chahiye.

conclusion-

Aakhirkaar, IPL 2023 mein naye jokes aur mazedaar moments ka intezaar shuru ho gaya hai. Hum sabhi fans ko ek nayi umang aur excitement ka ehsaas ho raha hai. Abhi tak IPL ke saare seasons ke mazedaar moments aur memes internet par viral hote rahe hai, aur humein yakeen hai ki is baar bhi kuch naya aur behtareen humein milne wala hai.

Hum sabhi ko ummeed hai ki IPL 2023 ek aur mazedaar season hoga, jismein humare favorite players apne best performances denge aur humein naye naye jokes aur memes bhi milenge. Toh aap sabhi ready ho jaaiye apne memes aur jokes ke saath, aur IPL 2023 ka intezaar shuru kijiye!

Post a Comment

0Comments
Post a Comment (0)
To Top